Tuesday, November 8, 2016

हर हंसी को उजाड़ देते हैं

( जौन एलिया के नाम )

हर हंसी को उजाड़ देते हैं
खेल आँसू बिगाड़ देते हैं

रोज़ उठाते हैं खोद कर ख़ुद को
रोज़ फिर ख़ुद में गाड़ देते हैं

जाने हम क्या बनाने वाले हैं
रोज़ कुछ तोड़-ताड़ देते हैं

रोज़ दुनिया की धूल लगती है
रोज़ हम जिसको झाड़ देते हैं

अब तो बच्चे भी घर के बूढ़ों को
आते-जाते लताड़ देते हैं

रोज़ करते हैं ख़ुद से दो-दो हाथ
रोज़ ख़ुद को पछाड़ देते हैं

वो उतरता कहाँ है लफ़्ज़ों में
रोज़ लिखते हैं, फाड़ देते हैं

ख़्वाब अच्छे हैं आसमाँ के, मगर
ये ज़मीं से उखाड़ देते हैं

- राजेश रेड्डी


( Jaun Elia ke naam )

Har hansee ko ujaad detey hain
Khel aansoo bigaad detey hain

Roz uthaatey hain khod kar khud ko
Roz phir khud mein gaad detey hain

Jaaney ham kya banaane waale hain
Roz kuchh tod-taad detey hain

Roz duniyaa ki dhool lagtee hai
Roz ham jisko jhaad detey hain

Ab toh bachche bhi ghar ke boodhon ko
Aatey-jaatey lataad detey hain

Roz karte hain khud se do-do haath
Roz khud ko pachhaad detey hain

Wo utartaa kahaan hai lafzon mein
Roz likhtey hain, phaad detey hain

Khwaab achchhe hain aasmaN ke, magar
Ye zameeN se ukhaad detey hain

- Rajesh Reddy

No comments:

Post a Comment